JaDaw ChuDiyon Ke Hathon Mein Phaban Kya KHub

jaDaw chuDiyon ke hathon mein phaban kya KHub

bhare bhare tere bazu pe nau-ratan kya KHub

khajuri choTi ke qurban wah kya kahna

nisar pariyon ke mu-ba-mu shikan kya KHub

nai jawani ka josh aur ubhaar sine ka

do-shaala Dhalka hua sar se bankpan kya KHub

ajab bahaar hai belon ki aur buTon ki

pari dupaTTa tera ghairat-e-chaman kya KHub

izar-band ke lachchhe ka wah re aalam

gudaz ranon pe pajame ki shikan kya KHub

jo pahna achchha bura tu ne utra ban ban kar

har ek chiz mein jaani sajila-pan kya KHub

gulab se tere gal aur aankhen nargis se

ba-rang-e-ghuncha-lala lab-o-dahan kya KHub

nazar phisalte hi wallah meri aankhon mein KHak

ki saf saf hai aaine sa badan kya KHub

KHuda ne nur ke sanche mein tujh ko Dhaala hai

jo dekhta hai wo kahta hai ye suKHan kya KHub

bayan husn kare tera 'bahr' kis munh se

tera banaw tere chhab teri phaban kya KHub

(903) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

JaDaw ChuDiyon Ke Hathon Mein Phaban Kya KHub In English By Famous Poet Imdad Ali Bahr. JaDaw ChuDiyon Ke Hathon Mein Phaban Kya KHub is written by Imdad Ali Bahr. Read famous Poem JaDaw ChuDiyon Ke Hathon Mein Phaban Kya KHub for youth and Student by Imdad Ali Bahr. Free Download JaDaw ChuDiyon Ke Hathon Mein Phaban Kya KHub in PDF.