KHub-ru Sab Hain Magar Hura-shamail Ek Hai

KHub-ru sab hain magar hura-shamail ek hai

aur mah-para hain lekin mah-e-kaamil ek hai

haq-taala us ke zulfon se bachae al-hazar

samna hai do balaon ka mera dil ek hai

kaun sa rahat-rasan mashuq hai aafaq mein

dusra bhi aafat-e-jaan hai jo qatil ek hai

main taDapta hun to kahte hain asiran-e-qafas

zaKHm-KHurda hum giraftaron mein bismil ek hai

jis ka ji chaha chala aaya baghair az ittilaa

aap ki sarkar mein bazar-o-mahfil ek hai

shama chalti hai to parwane bhi jal jate hain sath

wah kya in aashiq-o-mashuq ka dil ek hai

rind-o-zahid donon puchhenge barabar dekhna

tafarqe un mein dorahe tak hai manzil ek hai

us ki zulfon ka tasawwur hai jo har dam dil-nashin

main samajhta hun ki do laila hain mahmil ek hai

jo muarrif kaamilon ke thi agar hoti wo aaj

hum ko bhi kahte ye apni fan mein kaamil ek hai

'bahr' apni bhi fasahat jaante hain ahal-e-fahm

dusre hum hain agar sahban-o-il ek hai

(757) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

KHub-ru Sab Hain Magar Hura-shamail Ek Hai In English By Famous Poet Imdad Ali Bahr. KHub-ru Sab Hain Magar Hura-shamail Ek Hai is written by Imdad Ali Bahr. Read famous Poem KHub-ru Sab Hain Magar Hura-shamail Ek Hai for youth and Student by Imdad Ali Bahr. Free Download KHub-ru Sab Hain Magar Hura-shamail Ek Hai in PDF.