KHub-ruyan-e-jahan Chand Ki Tanwiren Hain

KHub-ruyan-e-jahan chand ki tanwiren hain

putliyan aankhon ki raushan hon wo taswiren hain

sher-goyon ko mazamin ki tauqiren hain

kahne ko ek zamin saikDon jagiren hain

yar se hoti hai gustaKH jo hoti ho so ho

zulfen hathon mein hain ya panw mein zanjiren hain

koi aadab-e-mohabbat ko bhala kya jae

zillaten jitni hain aashiq ki wo tauqiren hain

karun tauba jo ho paida bun-e-har-mu se zaban

jitne hain mu-e-badan utni hi taqsiren hain

wo bhawen mar utarenge kisi din mujh ko

jin ke qabze mein qaza hai ye wo shamshiren hain

qaul-e-haq par hue kab muttafiq ahl-e-duniya

ek quran hai jis ki kai tafsiren hain

kya yaqin aae mujhe haal-e-bahisht-o-dozaKH

main hun jis KHwab mein sab us ki ye tabiren hain

sat dozaKH kiye KHalq us ne karimi us ki

ek hafte ki hamare liye taziren hain

chaar inTen huin kis ke na mahall-e-naKHwat

maqbare aaj salatin ki tamiren hain

ek zarre ko jo qismat se na jumbish ho na ho

KHak uDane ko to aandhi meri tadbiren hain

koi KHush-KHwan ho qasid to bahut behtar hai

mere name mein tarane ki bhi tahriren hain

haDDiyan jism mein jalti hain palite ki tarah

ishq ke ism-e-jalali ki ye tasiren hain

dil ko har-waqt jo rahti hai buton ki tasbih

apne nalon ko samajhta hun ki takbiren hain

'bahr' arzhang-e-jahan ka na tamashai ho

jin ka saya hai bala us mein wo taswiren hain

(833) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

KHub-ruyan-e-jahan Chand Ki Tanwiren Hain In English By Famous Poet Imdad Ali Bahr. KHub-ruyan-e-jahan Chand Ki Tanwiren Hain is written by Imdad Ali Bahr. Read famous Poem KHub-ruyan-e-jahan Chand Ki Tanwiren Hain for youth and Student by Imdad Ali Bahr. Free Download KHub-ruyan-e-jahan Chand Ki Tanwiren Hain in PDF.