KHuda-parast Hue Hum Na But-parast Hue

KHuda-parast hue hum na but-parast hue

kisi taraf na jhuka sar kuchh aise mast hue

jinhen ghurur bahut tha namaz roze par

gae jo qabr mein sare wuzu shikast hue

hamare dil mein jo wahshat ne aag bhaDkai

sharar bhi rah gae pichhe ye garm jast hue

jo apne wade wafa wo kare karam us ka

ki hum se to na wafa wada-e-alast hue

ghurur kar ke nigahon se gir gae maghrur

buland jitne hue utne aur past hue

raha KHumar ki sadme se chur shisha-e-dil

magar na sail-e-mai tere mai-parast hue

lagae KHar lagin TaTTiyan bhi mehndi ki

ruke na bu-e-chaman lakh band-o-bast hue

KHizan mein bhi na chhuTa daman-e-chaman hum se

hue jo sukh ke kanTa to KHar-bast hue

bana hai panja-e-qassab dast-e-zulm un ka

sab ungliyan huin chhuriyan ye tez dast hue

habab se bhi habibon ke dil mein nazuk-tar

nazar ke bhi jo lage Thes ye shikast hue

taDap dikha na ise 'bahr' mahi-e-dil ki

ghazab hua jo wo tar-e-nigah shast hue

(855) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

KHuda-parast Hue Hum Na But-parast Hue In English By Famous Poet Imdad Ali Bahr. KHuda-parast Hue Hum Na But-parast Hue is written by Imdad Ali Bahr. Read famous Poem KHuda-parast Hue Hum Na But-parast Hue for youth and Student by Imdad Ali Bahr. Free Download KHuda-parast Hue Hum Na But-parast Hue in PDF.