KHurshid Firaq Mein Tapan Hai

KHurshid firaq mein tapan hai

ai zarra-nawaz tu kahan hai

kyun rote hain dekh dekh kar hum

ye zulf-e-siyah hai ya dhuan hai

munh dekh raha hun aur chup hun

kya baat karun wo bad-zaban hai

ab minnat-e-baghban abas hai

patjhaD ke din aa gae KHizan hai

gulzar nahin maqam-e-ishrat

bulbul pe jafa-e-baghban hai

gul ko bhi hi kuchh gham-e-nihan ne

ghunche ki chaTak nahin fughan hai

gardun ne hi sab ko mar rakkha

jo zinda bhi hai wo nim-jaan hai

ye kahkashan nahin saron par

khinche hue tegh aasman hai

kya qais se multafit ho laila

nanga hai wo nang-e-KHandan hai

parwane se shama kya chhupegi

main bhi puchhunga tu jahan hai

dekha ai 'bahr' tera diwan

ek daftar-e-haal-e-ashiqan hai

(766) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

KHurshid Firaq Mein Tapan Hai In English By Famous Poet Imdad Ali Bahr. KHurshid Firaq Mein Tapan Hai is written by Imdad Ali Bahr. Read famous Poem KHurshid Firaq Mein Tapan Hai for youth and Student by Imdad Ali Bahr. Free Download KHurshid Firaq Mein Tapan Hai in PDF.