Kiya Salam Jo Saqi Se Humne Jam Liya

kiya salam jo saqi se hum ne jam liya

paDhe darud jo pir-e-mughan ka nam liya

chah-e-zaqan mein gira chahta tha dil mera

daraaz umr ho zulf-e-rasa ne tham liya

kisi ka zor zabardast par nahin chalna

falak ne zulm kiya kis ne intiqam liya

nasib-war thi zuleKHa jo paya yusuf ko

kaniz ho gai is shakl ka ghulam liya

bhara labon ne barabar dam-e-masihai

jab us ke abruon ne hukm-e-qatl-e-am liya

mizaj puchha kisi ka to un ka munh dekha

kasak se hath mein aae agar salam liya

lagaya tha kahin dil hum ne wo maza chakkha

zaban ne phir na kabhi aashiqi ka nam liya

bhara hai aankh mein jadu khula ishaare se

zaban ka mizha-e-be-zaban se kaam liya

bahut kamar ke lachakne ka hai KHayal un ko

jo do qadam bhi chale painchon ko tham liya

chaDha KHumar jo sar par utar gai izzat

amama rakh ke giro saghar-e-mudam liya

uTha ke dagh liya haq-e-sai ka paisa

na murtashi ki tarah hum ne zar haram liya

hawa ko jaan di main ne zamin ko miTTi

ada kiya dam-e-ruKHsat jo qarz dam liya

muaf ki hai KHuda ne zaif par taklif

sitam kiya agar ab dast-o-pa se kaam liya

qasam na khaunga tison kalam ki ai 'bahr'

kisi ka KHwab mein bosa to la-kalam liya

(930) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Kiya Salam Jo Saqi Se Humne Jam Liya In English By Famous Poet Imdad Ali Bahr. Kiya Salam Jo Saqi Se Humne Jam Liya is written by Imdad Ali Bahr. Read famous Poem Kiya Salam Jo Saqi Se Humne Jam Liya for youth and Student by Imdad Ali Bahr. Free Download Kiya Salam Jo Saqi Se Humne Jam Liya in PDF.