Mahram Ke Sitare TuTte Hain

mahram ke sitare TuTte hain

pistan ke anar chhuTte hain

dil par hai wo sadma-e-judai

ghaDiyal bhi sina kuTte hain

koi to mata-e-dil ko puchhe

aabaad rahen ja luTte hain

aankhon ko bahaega ye rona

dariya mein charagh chhuTte hain

tai kis se ho wadi-e-mohabbat

chalte hue panw TuTte hain

kis ke galon se hamsari kiye

sone ke waraq ko kuTte hain

ye dil use muft bhi hai mahnga

hum KHush hain ki saste chhuTte hain

rindon ne diya jo sana apna

saqi ki dukan luTte hain

kiya shikoh-e-sang ko dukan-e-'bahr'

hum par to pahaD TuTte hain

(787) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Mahram Ke Sitare TuTte Hain In English By Famous Poet Imdad Ali Bahr. Mahram Ke Sitare TuTte Hain is written by Imdad Ali Bahr. Read famous Poem Mahram Ke Sitare TuTte Hain for youth and Student by Imdad Ali Bahr. Free Download Mahram Ke Sitare TuTte Hain in PDF.