Main Gila Tum Se Karun Ai Yar Kis Kis Baat Ka

main gila tum se karun ai yar kis kis baat ka

ye kahani din ki ho jae na qissa raat ka

tark ki mujh se mulaqat aap ne achchha kiya

gham miTa har-waqt ka jhagDa gaya din-raat ka

be-tamizon se tabiat aashna hoti nahin

chahne wala hun main mahbub-e-KHush aur raat ka

main to kuchh kahta hun tum se tum samajhte ho kuchh aur

jabki baaton mein kalam aaya maza kya baat ka

tere aane ki dua manga kabhi jaga kiye

raat-bhar aalam raha ai but KHudai raat ka

wah kya nam-e-KHuda saj-dhaj hai kya andaz hai

aadmi dekha nahin is qad ka aur is kat ka

samne yun aae botal jaise aati hai ghaTa

jam yun jhalke ki main dekhun saman barsat ka

ishq wo ghaarat-gar-e-iman hai ye chahe agar

waizon ko kalma paDhwae manat-o-lat ka

aise jhuTe ho agar sach bhi kabhi ho bolte

eatibar aata nahin sahab tumhaari baat ka

yar tum ko dil nahin dene ka be-bosa liye

tum jo apni gunge ho main bhi hun apni ghat ka

ahl-e-duniya KHush hon ya na-KHush hon kuchh parwa nahin

aasra rakhta hai ye banda KHuda ki zat ka

jab tumhaari kan ki bijli chamak kar rah gai

meri aankhon ne saman dikhla diya barsat ka

qamat-e-jaanan hai mil-e-manzil-e-awwal mujhe

kakul-e-shab-gun hai jada wadi-e-afat ka

tash ka mubaf choTi mein muqarrar chahiye

chandni se aur hi hota hai joban raat ka

'bahr' apni apni qismat hai ba-shakl-e-mehr-o-mah

zar use baKHsha use kasa diya KHairaat ka

(1125) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Main Gila Tum Se Karun Ai Yar Kis Kis Baat Ka In English By Famous Poet Imdad Ali Bahr. Main Gila Tum Se Karun Ai Yar Kis Kis Baat Ka is written by Imdad Ali Bahr. Read famous Poem Main Gila Tum Se Karun Ai Yar Kis Kis Baat Ka for youth and Student by Imdad Ali Bahr. Free Download Main Gila Tum Se Karun Ai Yar Kis Kis Baat Ka in PDF.