Mar Gae Par Bhi Na Ho Bojh Kisi Par Apna

mar gae par bhi na ho bojh kisi par apna

ruh ke sath hua ho tan-e-laghar apna

be-tarah dil mein bhara rahta hai zulfon ka dhuan

dam nikal jae kisi rose na ghuT kar apna

yar sota nahin munh kar ke hamari jaanib

kabhi karwaT nahin leta hai muqaddar apna

tum jo do phul chaDhao to KHushi ke mare

qabr khul jae ye phule tan-e-laghar apna

intizam aap ki sarkar mein yun lazim hai

band-o-bast aap ka ghar mein rahe bahar apna

hur bhi tum ho nigahon mein pari bhi tum ho

ab to ai jaan dil aaya hai tumhin par apna

nur barsati hai zulfon ki ghaTa chehre par

panw us kuche mein phislega muqarrar apna

nind furqat mein kahan maut se aane wali

ghar se behtar hai jo takiye mein ho bistar apna

KHana-barbaad kya ishq ne tifli se hamein

ki miTa baiThi gharaunde ki tarah ghar apna

ab na kuchh bolte banti hai na chup rahte hamein

na dil apna nazar aata hai na dilbar apna

wada-e-wasl agar aaj bhi pura na hua

ye samajh lijiye wada hai barabar apna

KHub-ru kuchh bhi agar banda-nawazi farmaen

maldaron ko karen banda-e-be-zar apna

be gala kaTe hue raat nahin kaTne ki

sadqa abru ka diye jaiye KHanjar apna

Dor hain silk-e-guhar par kahen ashaar ai 'bahr'

qadr-dan ho to sunaen use jauhar apna

(850) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Mar Gae Par Bhi Na Ho Bojh Kisi Par Apna In English By Famous Poet Imdad Ali Bahr. Mar Gae Par Bhi Na Ho Bojh Kisi Par Apna is written by Imdad Ali Bahr. Read famous Poem Mar Gae Par Bhi Na Ho Bojh Kisi Par Apna for youth and Student by Imdad Ali Bahr. Free Download Mar Gae Par Bhi Na Ho Bojh Kisi Par Apna in PDF.