Nafs-e-sarkash Ko Qatl Kar Ai Dil

nafs-e-sarkash ko qatl kar ai dil

mustaid ho jihad par ai dil

na phalegi tijarat-e-duniya

hai yahan nafa mein zarar ai dil

tere kirdar par hain shahid-e-haal

KHushk-lab aur chashm-e-tar ai dil

na ro ulfat na hath se jae

khel ja apni jaan par ai dil

chahiye be-mahal na Tapke ashk

abruon par rahe nazar ai dil

be-KHudi mein nikal chala hai kidhar

bhul jaana na apna ghar ai dil

ku-e-jaanan hai maqtal-e-ushshaq

le chala hai mujhe kidhar ai dil

jaan jaani hai tujh ko hosh nahin

tu bhi kitna hai be-KHabar ai dil

ishq-bazi hai aabru-rezi

apne fealon se darguzar ai dil

kyun nikal kar zalil hoti hai

teri fariyaad-e-be-asar ai dil

dhyan aaThon-pahar usi ka hai

kabhi apni bhi li KHabar ai dil

ishq ke marke mein mar qadam

fath hai tere nam par ai dil

ashk ho kar baha ki KHun hua

kya hui haalat-e-jigar ai dil

gham-e-alam hai tere hisse mein

tu bhi kya hai nasib-war ai dil

tu agar aag hai wo pani hai

'bahr' ke shar se KHauf kar ai dil

(1033) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Nafs-e-sarkash Ko Qatl Kar Ai Dil In English By Famous Poet Imdad Ali Bahr. Nafs-e-sarkash Ko Qatl Kar Ai Dil is written by Imdad Ali Bahr. Read famous Poem Nafs-e-sarkash Ko Qatl Kar Ai Dil for youth and Student by Imdad Ali Bahr. Free Download Nafs-e-sarkash Ko Qatl Kar Ai Dil in PDF.