Nahin Hone Ka Ye KHun-e-jigar Band

nahin hone ka ye KHun-e-jigar band

na bandhi aastin aankhon pe tar band

na puchho bebasi apna hai wo haal

asir-e-rishta-bar-pa murgh-e-par band

juda hota nahin pahlu se dam-bhar

ye dagh-e-dil hai ya koi jigar-band

kahin aisa na ho wo aa ke phir jae

kisi shab band hon aankhen na dar band

yahi qasid pata hai us ke ghar ka

udhar ja jis taraf hai rahguzar band

ye chausar ishq-bazi ki hai ai dil

na chalna chaal wo jis se ho ghar band

ijazat ek taDap ki de jo sayyaad

qafas ko le uDen hum murgh-e-par-band

ye haal-e-na-tawani hai ki aankhen

khulin jo ek dam to dopahar band

nahin ye putliyan o chashm-e-fattan

tere ghar mein hain do fitne nazar-band

main ghabraata hun mahram se tumhaari

khule dil ki girah kholo agar band

dua ye mangta hun main shab-e-wasl

qayamat tak rahi bab-e-sahar band

KHuda jaane kahan hun aur kya hun

khule ahwal kya jab ho KHabar band

jo hath aaen use ye dana-e-ashk

rahi musht-e-sadaf misl-e-guhar-band

likhega haal-e-dil ai 'bahr' kab tak

bas ab waifar laga maktub kar band

(901) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Nahin Hone Ka Ye KHun-e-jigar Band In English By Famous Poet Imdad Ali Bahr. Nahin Hone Ka Ye KHun-e-jigar Band is written by Imdad Ali Bahr. Read famous Poem Nahin Hone Ka Ye KHun-e-jigar Band for youth and Student by Imdad Ali Bahr. Free Download Nahin Hone Ka Ye KHun-e-jigar Band in PDF.