Phal Aate Hain Phul TuTte Hain

phal aate hain phul TuTte hain

KHurdon se buzurg chhuTte hain

khulti nahin gul ki bad-mizaji

ghunche nahin munh se phuTte hain

karte hain yahan hasin taraj

nabbash lahad mein luTte hain

hota hai firaq jaan-o-tan mein

buron ke milap chhuTte hain

ek but se moamla darpesh

patthar se nasib phuTte hain

aaseb hain gesuwan-e-mashuq

kab hum se lipaT ke chhuTte hain

dil le ke wo jaan ke hain KHwahan

har pahar ke mujhi ko luTte hain

har-waqt hai koft apne dil ko

rah rah kar sina kuTte hain

KHat paDhta hai mera kya kahun kaun

aghyar ki did se phuTte hain

rone-dhone se faeda 'bahr'

kab sine ke dagh chhuTte hain

(1006) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Phal Aate Hain Phul TuTte Hain In English By Famous Poet Imdad Ali Bahr. Phal Aate Hain Phul TuTte Hain is written by Imdad Ali Bahr. Read famous Poem Phal Aate Hain Phul TuTte Hain for youth and Student by Imdad Ali Bahr. Free Download Phal Aate Hain Phul TuTte Hain in PDF.