Raushan Hazar Chand Hain Shams-o-qamar Se Aap

raushan hazar chand hain shams-o-qamar se aap

ghaeb hain par nigah ki surat nazar se aap

aankhen bichhate phirte hain mushtaq rah mein

kya jaaniye guzarte hain kis rahguzar se aap

roe koi gharib to hansna na chahiye

waqif nahin kisi ke fughan-e-asar se aap

kanTe bhare hain KHat mein jo chhute nahin ise

itna na hath khinchiye meri KHabar se aap

rahgir kyun taDapte hain tashwish thi mujhe

ab khul gaya ki jhankte hain chaak-e-dar se aap

hammam ne to aur bhi chamka diya badan

goya naha ke nikle hain aab-e-guhar se aap

laenge rah par ye ruKH-o-zulf ek din

dekhenge sham tak mera rasta sahar se aap

aankhon ki tarah rone lagen rauzan-e-makan

puchhen hamara haal jo diwar-o-dar se aap

mirriKH-pan mizaj mein aaza mein nazuki

tegh-e-shua bandhiye apni kamar se aap

ai zahidan-e-KHushk ye ghairat ka hai maqam

aagah aaj tak nahin KHaliq ke ghar se aap

zahir hai murgh-e-qibla-numa bhi gawah hai

kabe ki samt puchhte hain jaanwar se aap

kyunkar malak kahun ki malak KHadim aap ke

hain wo bashar ki malti hain KHairul-bashar se aap

jo baat aap ki hai mashiyyat KHuda ki hai

be-shubah muKHtalat hain qaza-o-qadar se aap

phisla hai mere aansuon mein panw aap ka

bande ka sar utariye aaj apne sar se aap

ai 'bahr' rahm khaega wo rone par zarur

dho rakhiye apne munh ko zara chashm-e-tar se aap

(963) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Raushan Hazar Chand Hain Shams-o-qamar Se Aap In English By Famous Poet Imdad Ali Bahr. Raushan Hazar Chand Hain Shams-o-qamar Se Aap is written by Imdad Ali Bahr. Read famous Poem Raushan Hazar Chand Hain Shams-o-qamar Se Aap for youth and Student by Imdad Ali Bahr. Free Download Raushan Hazar Chand Hain Shams-o-qamar Se Aap in PDF.