Sair Us Sabza-e-ariz Ki Hai Dushwar Bahut

sair us sabza-e-ariz ki hai dushwar bahut

ai dil-e-abla-pa rah mein hain KHar bahut

lo na lo dil mujhe bhati nahin takrar bahut

muft bikta hai mera mal KHaridar bahut

KHush raho yar agar hum se ho bezar bahut

dil agar apna salamat hai to dildar bahut

gham nahin go hum akele hain aur aghyar bahut

haq agar apni taraf hai to taraf-dar bahut

panw phailao na ab to mere pas aane mein

eDiyan tum ne ragaDwai hain ai yar bahut

kya karunga main bhala bagh ijare le kar

aashiyanon ko hain ek musht-e-KHas-o-KHar bahut

tan rindon pe na kar shaiKH KHuda-lagti bol

us ke altaf bahut hain ki gunahgar bahut

kya zamane mein mohabbat ka maraz phaila hai

achchhe do-chaar nazar aate hain bimar bahut

lambe lambe tere baalon ka mujhe sauda hai

tul khinga meri jaan ye aazar bahut

talKHi-e-marg ka hargiz mujhe andesha nahin

baiThi munh par hai mere yar ki talwar bahut

bas tumhaari yahi KHu saKHt buri lagti hai

thoDi taqsir pe ho jate ho bezar bahut

ghar mein us but ke rasai na hui par na hui

'bahr' ne putli bhi gaDi pas-e-diwar bahut

(750) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Sair Us Sabza-e-ariz Ki Hai Dushwar Bahut In English By Famous Poet Imdad Ali Bahr. Sair Us Sabza-e-ariz Ki Hai Dushwar Bahut is written by Imdad Ali Bahr. Read famous Poem Sair Us Sabza-e-ariz Ki Hai Dushwar Bahut for youth and Student by Imdad Ali Bahr. Free Download Sair Us Sabza-e-ariz Ki Hai Dushwar Bahut in PDF.