Sarw Mein Rang Hai Kuchh Kuchh Teri Zebai Ka

sarw mein rang hai kuchh kuchh teri zebai ka

jama-e-gul mein hai chhapa teri ranai ka

panw se raaz khula baadiya-paimai ka

jo phaphola tha DhinDhora hua ruswai ka

sath aaya koi meri na koi jaega sath

morid-e-lutf azal se hun main tanhai ka

zulf ki ek hi jhaTke mein kaleja phaDka

bahut ayyub ko dawa tha shakebai ka

chaar din aur jawani ke guzar jaane do

haal puchhenge jawanon se tawanai ka

josh mein koi nahin jama-dari ka mane

hathkaDi hath pakaDti nahin saudai ka

haal qabil ka habil se puchhe koi

wo zamana hai ki bhai hai adu bhai ka

lashkar-e-gham ki chaDhai hai KHabar-dar ai dil

morcha TuTne pai na shakebai ka

kyun na palken hon jafa-kar jo aafat hon bhawen

bal hai tiron ko kamanon ki tawanai ka

koi sajda teri dargah ki qabil na hua

le chala dagh jabin par main jabin-jai ka

uf nahin karte hain ushshaq sitam sahte hain

kya hi dilbar ko saliqa hai dil-arai ka

yar ki husn-e-jawani ka main diwana hun

KHat-e-ruKHsar hai mahzar meri ruswai ka

misl-e-nai sine mein paD jaenge chhed ai bulbul

na uDa tarz mere zamzama-pairai ka

aks aaine mein surat ka pata deta hai

khul gaya haal-e-dui se teri yaktai ka

apne hasti ko samajhta rahe barbaad insan

chaar unsur nahin jhonka hai ye chaupai ka

barq girya hai shab-o-roz buton ke gham mein

'bahr' tera hai janam mardum-e-dariyai ka

(878) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Sarw Mein Rang Hai Kuchh Kuchh Teri Zebai Ka In English By Famous Poet Imdad Ali Bahr. Sarw Mein Rang Hai Kuchh Kuchh Teri Zebai Ka is written by Imdad Ali Bahr. Read famous Poem Sarw Mein Rang Hai Kuchh Kuchh Teri Zebai Ka for youth and Student by Imdad Ali Bahr. Free Download Sarw Mein Rang Hai Kuchh Kuchh Teri Zebai Ka in PDF.