Shor Hai Us Sabza-e-ruKHsar Ka

shor hai us sabza-e-ruKHsar ka

aaj tuti bolta hai yar ka

kis ada se hath rakkha qabze par

paD gaya putli mein dam talwar ka

ashk-e-be-tasir se hun aab aab

uqda hun main aansuon ke tar ka

bujh gaya mera charagh-e-zindagi

dekh kar wo qumquma ruKHsar ka

kis maraz ki hai dawa unnab-e-lab

KHatt-e-ruKH nusKHa hai kis bimar ka

ab ki aisi haar hai fasl-e-bahaar

gul hai but-KHala zaban-e-KHar ka

abru-e-ghilman hai wo mehrab-e-dar

zulf-e-hura saya hai diwar ka

lene wale le gae hosh-o-hawas

bik gaya sauda mere bazar ka

jab main nikla KHalq ne ghera mujhe

mera sauda qarz hai bazar ka

juu-e-jannat hai chehre sayyaad ki

meri gardan par hai haq gulzar ka

aab-kari ki ho KHidmat 'bahr' ko

na-KHuda hai kashti-e-mai-KHwar ka

(803) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Shor Hai Us Sabza-e-ruKHsar Ka In English By Famous Poet Imdad Ali Bahr. Shor Hai Us Sabza-e-ruKHsar Ka is written by Imdad Ali Bahr. Read famous Poem Shor Hai Us Sabza-e-ruKHsar Ka for youth and Student by Imdad Ali Bahr. Free Download Shor Hai Us Sabza-e-ruKHsar Ka in PDF.