Warning: session_start(): open(/var/cpanel/php/sessions/ea-php56/sess_6a75f8699014b5f5c0a7b5c3e18569de, O_RDWR) failed: Disk quota exceeded (122) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1

Warning: session_start(): Failed to read session data: files (path: /var/cpanel/php/sessions/ea-php56) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1
Sina-kubi Kar Chuke Gham Kar Chuke - Imdad Ali Bahr Poetry In English - Darsaal

Sina-kubi Kar Chuke Gham Kar Chuke

sina-kubi kar chuke gham kar chuke

jite-ji hum apna matam kar chuke

dekhiye milte hain kis din yar se

id bhi kar len moharram kar chuke

dhyan un aankhon ka jaane ka nahin

ye hiran pale hue ram kar chuke

dil laga kar dukh uThae be-shumar

dam-shumari bhi koi dam kar chuke

ab kahan misl-e-anasir ittihad

chaar din wo rabt-e-baham kar chuke

ab to zulfon ko na rakkho fard fard

daftar-e-alam ko barham kar chuke

KHak ab in aansuon ko rokiye

ye hamein ruswa-e-alam kar chuke

dida-o-dil ki badaulat ishq hain

roe barson muddaton gham kar chuke

wo hamein milta nahin kya kijiye

apni si to just-o-ju hum kar chuke

waizo jo chaho farmao hamein

baiat-e-pir-e-mughan hum kar chuke

'bahr' mustaghni hain fikr-e-sher se

gauhar-e-mani faraham kar chuke

(941) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Sina-kubi Kar Chuke Gham Kar Chuke In English By Famous Poet Imdad Ali Bahr. Sina-kubi Kar Chuke Gham Kar Chuke is written by Imdad Ali Bahr. Read famous Poem Sina-kubi Kar Chuke Gham Kar Chuke for youth and Student by Imdad Ali Bahr. Free Download Sina-kubi Kar Chuke Gham Kar Chuke in PDF.