Teri Har Ek Baat Hai Nashtar Na ChheD

teri har ek baat hai nashtar na chheD

pakka phoDa hun main ai dilbar na chheD

main agar roya to kya hath aaega

ashk ke qatre nahin gauhar na chheD

munh se kah baiThenge jo ho jaega

hum saDe saudaiyon se Dar na chheD

tere qadmon se laga hun rahm kar

Thokaron se o but-e-KHud-sar na chheD

shisha-e-dil chur ho jaega yar

hai kalam-e-saKHt bhi patthar na chheD

KHauf kar hum dil-jalon ki aah se

chheDna hum ko nahin behtar na chheD

bhaD ka chhatta hai dil-e-suraKH-dar

us ki aahen taish hain dilbar na chheD

dast-e-nazuk ko na pahunche koi ranj

jhaD kanTon ka hun main laghar na chheD

be-maza baaton se dil ukta gaya

chheDe se ab dam hai honTon par na chheD

bu-e-KHun aati hai is taqrir se

zikr ghairon ka mere munh par na chheD

we ki roega hansi achchhi nahin

chheD mein kuchh ho na jae shar na chheD

teri aahen yar ko na-saz hain

saz apna ai dil-e-muztar na chheD

hashr barpa kar ke leTa hun abhi

sone de o fitna-e-mahshar na chheD

kah wo mashshata se afi hai wo zulf

us ke kaTe ka nahin mantar na chheD

roega DaDhi ko DaDhen mar kar

mohtasib rindon ko munh chaDh kar na chheD

KHush na hoga koi sota chaunk kar

'bahr' tu ghafil ko samjha kar na chheD

(866) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Teri Har Ek Baat Hai Nashtar Na ChheD In English By Famous Poet Imdad Ali Bahr. Teri Har Ek Baat Hai Nashtar Na ChheD is written by Imdad Ali Bahr. Read famous Poem Teri Har Ek Baat Hai Nashtar Na ChheD for youth and Student by Imdad Ali Bahr. Free Download Teri Har Ek Baat Hai Nashtar Na ChheD in PDF.