Wasl Mein Zikr Ghair Ka Na Karo

wasl mein zikr ghair ka na karo

KHush kiya hai to phir KHafa na karo

zulfon par mujh ko shefta na karo

in balaon mein mubtala na karo

meri itni to baat mano bhala

baat aghyar se kiya na karo

milne dunga na ghair se tum ko

karo mujh se milap ya na karo

mar bhi jaun kahin ye rog miTe

ai tabibon meri dawa na karo

munh chhupana hi hai agar manzur

mere aankhon-tale phira na karo

ai gul in dinon rooge

khilkhila kar bahut hansa na karo

bosa lene do kuchh to ho taqsir

hadaf-e-tir be-KHata na karo

jaan sadqe karun jo qadr karo

dil tumhein dun agar dagha na karo

kabhi fariyaadtan suno meri

kaun kahta hai tum jafa na karo

ghair par kyun nigah karte ho

mujh ko is tir ka nishana karo

do-ghaDi ke liye hum aae hain

talKH baaton se be-maza na karo

ek purze pe likh ke ye do-harf

dosto yar ko rawana karo

jald aao ki dam nikalta hai

mujh ko piTo agar bahana karo

'bahr' shakir raho muqaddar par

kas-o-na-kas se iltija na karo

(959) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Wasl Mein Zikr Ghair Ka Na Karo In English By Famous Poet Imdad Ali Bahr. Wasl Mein Zikr Ghair Ka Na Karo is written by Imdad Ali Bahr. Read famous Poem Wasl Mein Zikr Ghair Ka Na Karo for youth and Student by Imdad Ali Bahr. Free Download Wasl Mein Zikr Ghair Ka Na Karo in PDF.