Wo Rashk-e-mehr-o-qamar Ghat Par Nahin Aata

wo rashk-e-mehr-o-qamar ghat par nahin aata

kabhi andhere-ujale nazar nahin aata

ye kah do kucha-e-jaanan ke jaane walon se

udhar jo koi gaya phir idhar nahin aata

tilai-rang ye kya kya chale hain talwaren

kisi ke qabze mein wo kunj-e-zar nahin aata

wo na-tawan hun ki sunta nahin koi meri

wo zar hun ki kisi ko nazar nahin aata

meri taraf se ye ghaflat hai ham-safiron ko

chaman se uD ke kabhi ek par nahin aata

nahin nasib mein apni jo daulat-e-bedar

to KHwab mein bhi mera swayamwar nahin aata

azab-e-naza hi qasid ka intizar mujhe

ajal hi aae agar nama-bar nahin aata

wo kaun log hain jin par huma hai saya-fagan

yahan to bum bhi baala-e-sar nahin aata

yahan wasila-e-rozi faqat hai yaad-e-KHuda

ki hech-kara hain koi hunar nahin aata

bashar ko chahne anjam-e-kar ki kuchh fikr

jahan mein koi bar-e-digar nahin aata

sanam ko hath se jaane na dijiye ai 'bahr'

nikal ke musht-e-sadaf se guhar nahin aata

(855) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Wo Rashk-e-mehr-o-qamar Ghat Par Nahin Aata In English By Famous Poet Imdad Ali Bahr. Wo Rashk-e-mehr-o-qamar Ghat Par Nahin Aata is written by Imdad Ali Bahr. Read famous Poem Wo Rashk-e-mehr-o-qamar Ghat Par Nahin Aata for youth and Student by Imdad Ali Bahr. Free Download Wo Rashk-e-mehr-o-qamar Ghat Par Nahin Aata in PDF.