Ye Dil Hai To Aafat Mein PaDte Rahenge

ye dil hai to aafat mein paDte rahenge

yun hi eDiyan hum ragaDte rahenge

mohabbat hai bad-nam kyun kar banegi

wo hum se hamesha bigaDte rahenge

agar ishq rakhta hai to aql kho de

ye donon rahenge to laDte rahenge

bure din buri saaten ishq mein hain

sab ahbab hum se bichhaDte rahenge

wo sar kaT Dalen hamara to kya gham

gharaz aise hi panw paDte rahenge

kahin aashiqon ka Thikana nahin hai

zamane mein basti ujaDte rahenge

junun ne tamasha banaya hai hum ko

darichon ke parde udhaDte rahenge

kabhi zulf se ho sakenge na sar-bar

isi pech se hum pichhaDte rahenge

na KHat bhejna hum se mauquf hoga

kabutar ki shah par ukhaDte rahenge

jo kuchh hum ne chaha unhon ne na chaha

hum is masale mein jhagaDte rahenge

gham-o-dard zewar hai hum aashiqon ka

nagin dagh ke dil mein jaDte rahenge

qadam mai-kade se na niklega bahar

yahin nashshe mein girte-paDte rahenge

judai mein ai 'bahr' marna bhala hai

jiyenge to KHiffat se gaDte rahenge

(944) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Ye Dil Hai To Aafat Mein PaDte Rahenge In English By Famous Poet Imdad Ali Bahr. Ye Dil Hai To Aafat Mein PaDte Rahenge is written by Imdad Ali Bahr. Read famous Poem Ye Dil Hai To Aafat Mein PaDte Rahenge for youth and Student by Imdad Ali Bahr. Free Download Ye Dil Hai To Aafat Mein PaDte Rahenge in PDF.