Aap Apni Bewafai Dekhiye

aap apni bewafai dekhiye

hum se aur aisi burai dekhiye

baat phir hum se banai dekhiye

phir wahi taqrir aai dekhiye

aaina us but ko dikhla kar kaha

aur surat hath aai dekhiye

arsh ki zanjir par turra hua

nala-e-dil ki rasai dekhiye

hum asiran-e-tilism-e-KHak hain

kya hua waqt-e-rihai dekhiye

mar Dala munh chhupa kar aap ne

maut kis parde mein aai dekhiye

aamad aamad mausam-e-gul ki hue

phir tabiat gud-gudai dekhiye

dagh-e-dil tara hai chashm-e-mehr ka

ishq ki jalwa-numai dekhiye

meri jaanib yun nazar karna na tha

aap ne bijli girai dekhiye

phenkiye hathon se phulon ki chhaDi

meri gul-KHurda kalai dekhiye

chashm-poshi is qadar achchhi nahin

ab to jaan aankhon mein aai dekhiye

ek din ro ro ke tufan laenge

is qadar na-ashnai dekhiye

wah re surma lagana aap ka

shaKH-e-nargis hai salai dekhiye

saf hai aaina-e-askandari

is meri dil ki safai dekhiye

der hoti hai hamari qatl mein

ye nahin achchhi jhukai dekhiye

laiye pilwaiye jam-e-sharab

dekhiye badle wo aai dekhiye

mar gae lekin na raaz-e-dil khula

aah bhi lab tak na aai dekhiye

wo na aana tha na aae ai 'saba'

rafta rafta maut aai dekhiye

(898) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Aap Apni Bewafai Dekhiye In English By Famous Poet Wazir Ali Saba Lakhnavi. Aap Apni Bewafai Dekhiye is written by Wazir Ali Saba Lakhnavi. Read famous Poem Aap Apni Bewafai Dekhiye for youth and Student by Wazir Ali Saba Lakhnavi. Free Download Aap Apni Bewafai Dekhiye in PDF.