Ai Sanam Sab Hain Tere Hathon Se Nalan Aaj-kal

ai sanam sab hain tere hathon se nalan aaj-kal

surat-e-naqus hain gabr-o-musalman aaj-kal

bagh mein kahte hain wo lale ka taKHta dekh kar

gul khilati hai ajab KHak-e-shahidan aaj-kal

harf-e-matlab apne diwane ka bhi sun ja zara

ho tujhe chhuTTi jo ai tifl-e-dabistan aaj-kal

mausam-e-josh-e-junun hai jama-e-gul ki tarah

KHud-ba-KHud hote hain TukDe jeb-o-dastan aaj-kal

peshtar KHat se maza tha husn ka ai naunihaal

ho gaya daghi tera seb-e-zanaKHdan aaj-kal

yaad karte hain kisi ke mushaf-e-ruKHsar ko

taq-e-nisyan par rakha hai hum ne quran aaj-kal

zulfen chhoDi hain jo us sayyaad-e-gul-ruKHsar ne

dam mein phanste hain murghan-e-ghulistan aaj-kal

hae wo KHush-qad pae-gul-gasht ab aata nahin

naKHl-e-matam hai har ek sarw-e-gulistan aaj-kal

zoaf ke hathon hue fasl-e-junun mein tang hum

ho gaya phansi hamein apna gareban aaj-kal

in dinon mein zur hota hai hamein josh-e-junun

bhagta hai chhoD kar majnun bayaban aaj-kal

jo hasin hai gard hai is baadshah-e-husn ki

rahta hai pariyon ki jhumar mein sulaiman aaj-kal

ainDate hain kaj-adai karte hain ushshaq se

bal ki lete hain bahut gesu-e-jaanan aaj-kal

gulshan-e-alam meri nazron mein bagh-e-sabz hai

dekhta hun sabza-e-gor-e-ghareban aaj-kal

samna har roz ka hai us but-e-saffak se

ai 'saba' allah hai apna nigahban aaj-kal

(1162) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Ai Sanam Sab Hain Tere Hathon Se Nalan Aaj-kal In English By Famous Poet Wazir Ali Saba Lakhnavi. Ai Sanam Sab Hain Tere Hathon Se Nalan Aaj-kal is written by Wazir Ali Saba Lakhnavi. Read famous Poem Ai Sanam Sab Hain Tere Hathon Se Nalan Aaj-kal for youth and Student by Wazir Ali Saba Lakhnavi. Free Download Ai Sanam Sab Hain Tere Hathon Se Nalan Aaj-kal in PDF.