Bach Kar Kahan Main Unki Nazar Se Nikal Gaya

bach kar kahan main un ki nazar se nikal gaya

ek tir tha ki saf jigar se nikal gaya

KHud raftagi hi chashm-e-haqiqat jo wa hui

darwaza khul gaya to main ghar se nikal gaya

mahw-e-jamal rah gae hum kuchh KHabar nahin

aaya kidhar se yar kidhar se nikal gaya

kaisa hawa hua mere rone ko dekh kar

daman-e-abr dida-e-tar se nikal gaya

rone se hijr-e-yar mein taskin ho gai

dil ka buKHar dida-e-tar se nikal gaya

aaKHir kiya aKHir-e-shab-e-wasl ne mujhe

dam pahli bang-e-murgh-e-sahar se nikal gaya

aahon ne mujh ko aatish-e-gham se najat di

manind-e-dud nar-e-saqar se nikal gaya

dikhlaya na-tawani ne ghar yar ka mujhe

misl-e-nigah rauzan-e-dar se nikal gaya

saqi ki chashm-e-mast ne aise dhuen uDae

shoala sa ek aatish-e-tar se nikal gaya

joban se Dhal chali hain kahan ab laTak ki chaal

wo pech un ke mu-e-kamar se nikal gaya

us gul ke dagh-e-ishq ne aisa kiya gudaz

ghul ghul ke maghz shama ke sar se nikal gaya

mushkil hai ai 'saba' pa karo jabr iKHtiyar

hai KHair dil jo ishq ke shar se nikal gaya

(1022) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Bach Kar Kahan Main Unki Nazar Se Nikal Gaya In English By Famous Poet Wazir Ali Saba Lakhnavi. Bach Kar Kahan Main Unki Nazar Se Nikal Gaya is written by Wazir Ali Saba Lakhnavi. Read famous Poem Bach Kar Kahan Main Unki Nazar Se Nikal Gaya for youth and Student by Wazir Ali Saba Lakhnavi. Free Download Bach Kar Kahan Main Unki Nazar Se Nikal Gaya in PDF.