Bagh-e-alam Mein Hai Be-rang Bayan-e-waiz

bagh-e-alam mein hai be-rang bayan-e-waiz

surat-e-barg-e-KHizani hai zaban-e-waiz

misr mein bhi na ye firaun ka aalam hoga

dekhe masjid mein koi shauqat-o-shan-e-waiz

ek kanTa sa nikal jae hamare dil se

sansiyon se koi khinche jo zaban-e-waiz

qulqul-e-shisha-e-mai se tere mai-kash saqi

sun rahe hain KHabar-e-raaz-e-nihan-e-waiz

haal malum hua nar-o-jinan ka kyunkar

is qadar to nahin uncha hai makan-e-waiz

nam-e-mai wo hai ki lab par jo kabhi aata hai

munh se bahar nikal aati hai zaban-e-waiz

mai-kade walon se dabne lage masjid wale

daur saqi ka hai guzra wo zaman-e-waiz

main bhi wo hun jo mere aage kabhi munh khole

kaT Dalun abhi danton se zaban-e-waiz

apne rindon ki main hu-haq ka hun sunne wala

ya-ilahi na sunana suKHnan-e-waiz

main pari-zadon ka aashiq hun to wo huron ka

mere saude se hai baDh kar KHafqan-e-waiz

pae KHum baiTh ke nashshe mein wo baaten kije

log samjhen sar-e-mimbar hai bayan-e-waiz

ai 'saba' KHuld mein jaun ki jahannam mein jalun

na suna hai na sununga main bayan-e-waiz

(1057) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Bagh-e-alam Mein Hai Be-rang Bayan-e-waiz In English By Famous Poet Wazir Ali Saba Lakhnavi. Bagh-e-alam Mein Hai Be-rang Bayan-e-waiz is written by Wazir Ali Saba Lakhnavi. Read famous Poem Bagh-e-alam Mein Hai Be-rang Bayan-e-waiz for youth and Student by Wazir Ali Saba Lakhnavi. Free Download Bagh-e-alam Mein Hai Be-rang Bayan-e-waiz in PDF.