Be-tabi-e-dil Ne Zar-pa Kar
be-tabi-e-dil ne zar-pa kar
de de paTka uTha uTha kar
ghar mein dawa na husn ka kar
yusuf se nikal ke samna kar
zulfon ko na chhoD tu baDha kar
nazuk hai girega jhonk kha kar
baiThe jo wo shab naqab uTha kar
bujhne lagi shama jhilmila kar
barbaad na kar tu aabru ko
manind-e-habab sar uTha kar
us gul ki mizha ne mar Dala
kanTe ki tarah sukha sukha kar
be-tabi-e-dil agar dikhaun
bijli rah jae tilmila kar
saffak ne band band kaTa
choTen marin jhuka jhuka kar
allah re sozish-e-dil ai yar
mara kis aag mein jala kar
paire koi KHak bahr-e-gham mein
aaKHir Duba main Dhab-Dhaba kar
phabti kahti hain abr-e-tar ke
achchhi sujhi mujhe rula kar
wo mast hain arsh par Tike hath
nashe mein gire jo laDkhaDa kar
gard-e-gham ne zamin jhakai
chhoDa mujhe KHak mein mila kar
bose ke sawal par wo bigDe
munh ki khai zaban hila kar
nala koi ban paDa jo hum se
aflak ko rakh diya miTa kar
KHauf-e-dozaKH se kanpta hun
saqi mujhe jam de tapa kar
wo naza mein haal sun ke roe
kaam aai zaban laDkhaDa kar
qissa dil se uTha dui ka
parchha ho jae faisla kar
jab kuch kiya 'saba' adam ko
rah jaenge yar KHak uDa kar
(975) Peoples Rate This