But-parasti Se Na Tinat Meri Zinhaar Phiri

but-parasti se na tinat meri zinhaar phiri

subh sau bar KHaridi gai sau bar phiri

barha qahqahon mein tu ne uDaya hai use

shama roti teri mahfil se hai sau bar phiri

chal basi fasl-e-KHizan mausam-e-gul aa pahuncha

le mubarak ho hawa bulbul-e-gulzar phiri

ek ja bhi nazar aai na asar ki surat

girti paDti na kahan aah-e-dil-e-zar phiri

zulf-e-jaanan ke jo saude mein hua sar-gashta

sae ki tarah mere sath shab-e-tar phiri

bhik mangwai faqiron ki tarah shahon ko

aisi niyyat teri ai charKH-e-sitam-gar phiri

ai 'saba' dekh liya hum ne usi tak sab the

phir gaya sara jahan jab nazar-e-yar phiri

(797) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

But-parasti Se Na Tinat Meri Zinhaar Phiri In English By Famous Poet Wazir Ali Saba Lakhnavi. But-parasti Se Na Tinat Meri Zinhaar Phiri is written by Wazir Ali Saba Lakhnavi. Read famous Poem But-parasti Se Na Tinat Meri Zinhaar Phiri for youth and Student by Wazir Ali Saba Lakhnavi. Free Download But-parasti Se Na Tinat Meri Zinhaar Phiri in PDF.