Dagh-e-junun Dimagh-e-pareshan Mein Rah Gaya

dagh-e-junun dimagh-e-pareshan mein rah gaya

daman mein KHar chaak gareban mein rah gaya

jab do qadam junun mein mera sath ho gaya

phaila ke panw qais bayaban mein rah gaya

abru-e-yar se jo bahut munfail hua

munh Dal kar hilal gareban mein rah gaya

taqlid ban paDi na tumhaari KHiram ki

taus laDkhaDa ke gulistan mein rah gaya

aai bahaar aur na chhuTa main ai junun

kaisa taDap ke KHana-e-zindan mein rah gaya

tuda qaza ne nawak-e-jallad ka kiya

main Dher ho ke ganj-e-shahidan mein rah gaya

kya hadisa paDa mere yusuf par ai 'saba'

dil gir ke un ki chah-e-zanaKHdan mein rah gaya

(983) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Dagh-e-junun Dimagh-e-pareshan Mein Rah Gaya In English By Famous Poet Wazir Ali Saba Lakhnavi. Dagh-e-junun Dimagh-e-pareshan Mein Rah Gaya is written by Wazir Ali Saba Lakhnavi. Read famous Poem Dagh-e-junun Dimagh-e-pareshan Mein Rah Gaya for youth and Student by Wazir Ali Saba Lakhnavi. Free Download Dagh-e-junun Dimagh-e-pareshan Mein Rah Gaya in PDF.