Dil Hai Ghiza-e-ranj Jigar Hai Ghiza-e-ranj

dil hai ghiza-e-ranj jigar hai ghiza-e-ranj

paida kiya hai hum ko KHuda ne bara-e-ranj

hasil kisi se kuchh nahin hota siwa-e-ranj

duniya mein lai hai hamein qismat bara-e-ranj

aadam se bagh-e-KHuld chhuTa hum se ku-e-yar

wo ibtida-e-ranj hai ye intiha-e-ranj

mumkin nahin hai aae jo bu-e-gul-e-nashat

aise dimagh-e-jaan mein bhari hai hawa-e-ranj

jhiDki de galiyan de sitamgar zalil kar

kafir ho ai sanam jo zara dil mein lae ranj

hum naKHl-e-ah se chaman-e-rozgar mein

bandha kiye hawa paye nashw-o-numa-e-ranj

ai san-e-azal meri miTTi KHarab ki

kya chahiye thi KHana-e-dil mein bina-e-ranj

sab dost apni haal mein hain aap mubtala

kis se kahun main kaun sune majra-e-ranj

hum bar-e-ishq ke mutahammil na ho sake

bas dil pakaD ke baiTh gae wo uThae ranj

hain sikka-ha-e-dagh hazaron bhare hue

qasr-e-dil-e-faqir hai daulat sara-e-ranj

bhuli nahin nasib ke likkhe ki KHubiyan

tahrir lauh-e-dil pe hai sab majra-e-ranj

mumkin nahin mizaj rahe ek haal par

gah aashna-e-aish hain gah aashna-e-ranj

achchhe ye qahqahe nahin aashiq ke haal par

dekho hansi hansi mein kahin ho na jae ranj

hote hain kis libas mein ashaar-e-dardnak

bahr-e-urus fikr hai zeba rida-e-ranj

kya gham jo ku-e-yar mein hota hun paemal

fart-e-KHushi se KHak nahin dil mein jae ranj

kahte hain mere dost mera haal dekh kar

dushman ko bhi KHuda na kare mubtala-e-ranj

sauda-e-ishq mein ye saadat husul hai

baKHt-e-siyah hai saya-e-baal-e-huma-e-ranj

andher sadma-e-shab-e-furqat hai ai 'saba'

aandhi charagh-e-jaan ke liye hai hawa-e-ranj

(1231) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Dil Hai Ghiza-e-ranj Jigar Hai Ghiza-e-ranj In English By Famous Poet Wazir Ali Saba Lakhnavi. Dil Hai Ghiza-e-ranj Jigar Hai Ghiza-e-ranj is written by Wazir Ali Saba Lakhnavi. Read famous Poem Dil Hai Ghiza-e-ranj Jigar Hai Ghiza-e-ranj for youth and Student by Wazir Ali Saba Lakhnavi. Free Download Dil Hai Ghiza-e-ranj Jigar Hai Ghiza-e-ranj in PDF.