Ishq Ka IKHtitam Karte Hain

ishq ka iKHtitam karte hain

dil ka qissa tamam karte hain

qahr hai qatl-e-am karte hain

tark turki tamam karte hain

taq-e-abru se un ke dar-guzre

hum yahin se salam karte hain

shaiKH us se panah mangte hain

barahman ram ram karte hain

jauhari par tere dur-e-dandan

aab-o-dana haram karte hain

KHatt-e-qismat paDha nahin jata

sirf mantiq tamam karte hain

ya ilahi halal hon waiz

duKHt-e-raz haram karte hain

aap ki munh lagi hai duKHtar-e-raz

baaten honTon se jam karte hain

chali duniya se hum pa-e-uqba

kuch bhar maqam karte hain

apne dil par hai iKHtiyar hamein

mulk ka intizam karte hain

qabil-e-guftugu raqib nahin

aap kis se kalam karte hain

raat bhar mere nala-e-pur-dard

nind un ki haram karte hain

zulm hi ahmaqon ki munh-zori

tang ye be-lagam karte hain

dil se rang-e-dui miTate hain

zaKHm ka iltiyam karte hain

ai 'saba' kyun kisi ka dil toDen

kabe ka ehtiram karte hain

(974) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Ishq Ka IKHtitam Karte Hain In English By Famous Poet Wazir Ali Saba Lakhnavi. Ishq Ka IKHtitam Karte Hain is written by Wazir Ali Saba Lakhnavi. Read famous Poem Ishq Ka IKHtitam Karte Hain for youth and Student by Wazir Ali Saba Lakhnavi. Free Download Ishq Ka IKHtitam Karte Hain in PDF.