Jo Adu-e-bagh Ho Barbaad Ho

jo adu-e-bagh ho barbaad ho

koi ho gulchin ho ya sayyaad ho

mujh sa aashiq morid-e-bedad ho

tum baDe saffak ho jallad ho

kucha-e-jaanan se matlab hai hamein

dair viran ho haram barbaad ho

qaid-e-mazhab waqai ek rog hai

aadmi ko chahiye aazad ho

daur daur-e-mohtasib hai saqiya

hae kyunkar mai-kada aabaad ho

bik gae hain aap to ghairon ke hath

banda-parwar ab ghulam aazad ho

ye tamiz allah de sayyaad ko

bagh viran ho qafas aabaad ho

sarw-qaddon se agar pala paDe

KHub sidha bagh mein shamshad ho

aaina dil ka jo dikhlaun unhen

ja-e-hairat ho ajab rudad ho

tum wo ho mar jaen to bhi gham na ho

aish ho ishrat ho KHush ho shad ho

gumbad-e-gardun par ai dil aah se

kuchh na kuchh aafat paDe uftad ho

maut hansti hai KHizar ke haal par

ta-kuja hasti-e-be-buniyaad ho

mausam-e-gul ho junun ka josh ho

ja-ba-ja haddad ho fassad ho

kan rakh kar wo mere nale sune

zulf dud-e-shola-e-fariyaad ho

main wo bulbul hun jise dono hain ek

bagh ho ya KHana-e-sayyaad ho

nazr sar karta hun main ai shah-e-husn

hukm ho jallad ko irshad ho

rang laya hai laDakpan aap ka

nau-bahaar-e-gulshan-e-ijad ho

kya qayamat hai bura ho maut ka

hum na hon ye aalam-e-ijad ho

bar-e-ilaha yun uThen mahshar ko hum

hath ho aur daman jallad ho

zahir-o-baatin mein ai dil farq ho

but baghal mein ho KHuda ki yaad ho

un raqibon ko KHuda ghaarat kare

aap hon ye aashiq-e-nashad ho

aap ko apni KHushi se kaam hai

koi na-KHush ho koi nashad ho

aah aandhi hai miTane ke liye

naqsh-e-hasti chahiye barbaad ho

jae gulshan mein jo tu ai naunihaal

kya tawarud misra-e-shamshad ho

KHub hai us gul ko lae rah par

ai 'saba' tum bhi baDe ustad ho

(1097) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Jo Adu-e-bagh Ho Barbaad Ho In English By Famous Poet Wazir Ali Saba Lakhnavi. Jo Adu-e-bagh Ho Barbaad Ho is written by Wazir Ali Saba Lakhnavi. Read famous Poem Jo Adu-e-bagh Ho Barbaad Ho for youth and Student by Wazir Ali Saba Lakhnavi. Free Download Jo Adu-e-bagh Ho Barbaad Ho in PDF.