Rang Hai Ai Saqi-e-sarshaar Qiasar-bagh Mein

rang hai ai saqi-e-sarshaar qiasar-bagh mein

phul pite hain tere mai-KHwar qiasar-bagh mein

dekh kar rangin tera ruKHsar qaisar-bagh mein

gul se bulbul ho gae bezar qaisar-bagh mein

sath hai ek ghairat-e-gulzar qaisar-bagh mein

bulbulon ko de rahe hain KHar qaisar-bagh mein

baaten bulbul ko suna shaida-e-ruKH gul ko bana

kabk ko chal kar dikha raftar qiasar-bagh mein

surat-e-idris jannat se nikalte hain kahin

ab to laya tala-e-bedar qaisar-bagh mein

shahid-e-gul motiyon mein lad rahe hain aaj-kal

abr-e-tar rahta hai gauhar-bar qaisar-bagh mein

bulbulen gul se KHafa hon qumriyan shamshad se

sair ho chaliye jo aap ai yar qaisar-bagh mein

kis tarah huron ko la kar KHuld se dikhlaiye

kya bahaar aai hai ab ke bar qaisar-bagh mein

dekh paen mere sine ke agar gul-ha-e-dagh

bulbulen hongi gale ka haar qaisar-bagh mein

mausam-e-gul mein yahin josh-e-junun ki hai bahaar

rang la kar aaenge sau bar qaisar-bagh mein

ai sanam allah re jalwa tera hairat-faza

but bane hain sahib-e-zunnar qaisar-bagh mein

wo maraz khoe tabibon ki bhi aankhen khul gain

hai masiha nargis-e-bimar qaisar-bagh mein

KHuld mein aa kar sharab-e-KHuld se bhi ijtinab

jam-e-mai se zahida inkar qaisar-bagh mein

qamat-e-baala ka rutba hai do-baala sarw se

turra hai sumbul pe zulf-e-yar qaisar-bagh mein

daur mein sultan-e-alam ki hain ye kaifiyyaten

ghairat-e-jam hai har ek mai-KHwar qaisar-bagh mein

dekh kar ru-e-musaffa yar ka hairat hui

aaine hain pusht-bar-diwar qiasar-bagh mein

hai pae abr-e-bahaari ye mahall-e-abru

aae zer-e-saya-e-diwar qaisar-bagh mein

dekh kar tere ruKH-e-rangin ko ai rashk-e-bahaar

gul hue hain baghban par bar qaisar-bagh mein

jaiye waqt-e-masihai hai ai ruh-e-rawan

muntazir hai nargis-e-bimar qiasar-bagh mein

tujh se aur gul se hui bahs-e-jamal ai ghuncha-lab

mujh se bulbul se hui takrar qaisar-bagh mein

nikhat-e-gul se 'saba' hum mast rahte hain mudam

baada-e-gul-gun nahin darkar qiasar-bagh mein

(1143) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Rang Hai Ai Saqi-e-sarshaar Qiasar-bagh Mein In English By Famous Poet Wazir Ali Saba Lakhnavi. Rang Hai Ai Saqi-e-sarshaar Qiasar-bagh Mein is written by Wazir Ali Saba Lakhnavi. Read famous Poem Rang Hai Ai Saqi-e-sarshaar Qiasar-bagh Mein for youth and Student by Wazir Ali Saba Lakhnavi. Free Download Rang Hai Ai Saqi-e-sarshaar Qiasar-bagh Mein in PDF.