Tum Har Ek Rang Mein Ai Yar Nazar Aate Ho

tum har ek rang mein ai yar nazar aate ho

kahin gul aur kahin KHar nazar aate ho

qabil-e-did tum ai yar nazar aate ho

chashm-e-bad-dur trahdar nazar aate ho

suraten karte ho ai jaan hazaron paida

tum nai shakl se har bar nazar aate ho

bhul jata hun main furqat ke gile aur shikwe

shukr karta hun jab ai yar nazar aate ho

aaina dekhne ko jab nahin milta tum ko

apni tum tishna didar nazar aate ho

kahte ho hum nahin karte hain koi farmaish

jaan tak lene ko tayyar nazar aate ho

KHun kisi aashiq-e-kushta ka chaDha hai sar par

rang lae hue ai yar nazar aate ho

band ho jaen na raste kahin diwanon se

baal khole sar-e-bazar nazar aate ho

rahti hain aaTh pahar aap ko kanghi choTi

apni zulfon mein giraftar nazar aate ho

KHauf se burj mein jallad-e-falak chhupta hai

tum jo bandhe hue talwar nazar aate ho

sumbulistan hain meri jaan sarasar zulfen

ruKH-e-gul-rang se gulzar nazar aate ho

aabru husn ki daulat se mili hai tum ko

rang kundan sa hai zardar nazar aate ho

kya hai be-yar khaTakte ho meri aankhon mein

ai gulo bagh mein tum KHar nazar aate ho

shan hai gesuon se aap mein sardari ki

sabza-e-KHat se numudar nazar aate ho

aise mashuq zamane mein kahan milte hain

pyar karne ke saza-war nazar aate ho

dono gesu pae aashiq hain kamanden dohri

pech mein laoge ayyar nazar aate ho

tap-e-ulfat mein 'saba' hai ye tumhaara darja

diq ke aasar hain bimar nazar aate ho

(1163) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Tum Har Ek Rang Mein Ai Yar Nazar Aate Ho In English By Famous Poet Wazir Ali Saba Lakhnavi. Tum Har Ek Rang Mein Ai Yar Nazar Aate Ho is written by Wazir Ali Saba Lakhnavi. Read famous Poem Tum Har Ek Rang Mein Ai Yar Nazar Aate Ho for youth and Student by Wazir Ali Saba Lakhnavi. Free Download Tum Har Ek Rang Mein Ai Yar Nazar Aate Ho in PDF.