Unki Raftar Se Dil Ka Ajab Ahwal Hua

un ki raftar se dil ka ajab ahwal hua

rundh gaya pis gaya miTTi hua pamal hua

dasht-e-wahshat ka ilaqa mujhe imsal hua

dagh-e-sauda sifat-e-nayyar-e-iqbaal hua

is bakheDe se ilahi kahin chhuTkara ho

ishq-e-gesu na hua jaan ka janjal hua

nazar-e-lutf na ki tu ne mere rone par

tifl-e-ashk ai mah-e-KHubi na KHush-iqbaal hua

hain wo sufi jo kabhi nala-e-naqus suna

wajd karne lage hum dil ka ajab haal hua

paD gaya un pe mere pech mein lane ka wabaal

kya pareshan tere gesuon ka haal hua

daulat-e-faqr ho ai munimo aur kamli ho

faKHr kya hai jo do-shaala hua rumal hua

apni qismat ka nawishta jo dikhaya hum ne

hashr ke rose ghalat nama-e-amal hua

aasman ne mujhe mahrum-e-shahadat rakkha

tegh-e-qatil ke liye baKHt-e-siyah-e-Dhaal hua

log kahne lage kundan pe chaDhae mina

sabza-e-KHat se wo KHush-rang tera gal hua

tegh-e-husn ai gul-e-tar ho gai KHun-aluda

mujh pe ghusse mein tera munh jo bahut lal hua

tair-e-dil ki liye aap ne sayyaadi ki

rishta-e-dam-e-bala zulf ka har baal hua

la-makan tak kahin Thahra na mera pa-e-KHayal

mazra-e-sabz-e-falak bich mein pamal hua

ai 'saba' aap riayat na karen lafzon ki

zar-e-gul paya jo gulchin ne to kya mal hua

(887) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Unki Raftar Se Dil Ka Ajab Ahwal Hua In English By Famous Poet Wazir Ali Saba Lakhnavi. Unki Raftar Se Dil Ka Ajab Ahwal Hua is written by Wazir Ali Saba Lakhnavi. Read famous Poem Unki Raftar Se Dil Ka Ajab Ahwal Hua for youth and Student by Wazir Ali Saba Lakhnavi. Free Download Unki Raftar Se Dil Ka Ajab Ahwal Hua in PDF.