Chala Aankhon Se Jab Kashti Mein Wo Mahbub Jata Hai

chala aankhon se jab kashti mein wo mahbub jata hai

kabhi aankhen bhar aati hain kabhi ji Dub jata hai

kaho kyunkar na phir howega dil raushan zuleKHa ka

jahan yusuf sa nur-e-dida-e-yaqub jata hai

jahan ke KHub-ru mujh se churaen kyun na phir aankhen

jo koi KHurshid ko dekhe so wo mahjub jata hai

mera aansu bhi qasid ki tarah ek dam nahin rukta

kisi betab ka goya liye maktub jata hai

'yaqin' hargiz kiya mat kar iti tarif laDkon ki

isi baaton sati mazmun sa mahbub jata hai

(1050) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Chala Aankhon Se Jab Kashti Mein Wo Mahbub Jata Hai In English By Famous Poet Yaqeen Inamullah Khan. Chala Aankhon Se Jab Kashti Mein Wo Mahbub Jata Hai is written by Yaqeen Inamullah Khan. Read famous Poem Chala Aankhon Se Jab Kashti Mein Wo Mahbub Jata Hai for youth and Student by Yaqeen Inamullah Khan. Free Download Chala Aankhon Se Jab Kashti Mein Wo Mahbub Jata Hai in PDF.