Misr Mein Husn Ki Wo Garmi-e-bazar Kahan

misr mein husn ki wo garmi-e-bazar kahan

jins to hai pe zuleKHa sa KHaridar kahan

faiz hota hai makin par na makan par nazil

hai wahi tur wale shola-e-didar kahan

aish o rahat ke talashi hain ye sare bedard

ek hum ko hai yahi fikr ki aazar kahan

ishq agar kijiye dil kijiye kis se KHali

dard o gham kam nahin is daur mein gham-KHwar kahan

qaidi us silsila-e-zulf ke ab kam hain 'yaqin'

hain dil-azar bahut jaan-giraftar kahan

(1254) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Misr Mein Husn Ki Wo Garmi-e-bazar Kahan In English By Famous Poet Yaqeen Inamullah Khan. Misr Mein Husn Ki Wo Garmi-e-bazar Kahan is written by Yaqeen Inamullah Khan. Read famous Poem Misr Mein Husn Ki Wo Garmi-e-bazar Kahan for youth and Student by Yaqeen Inamullah Khan. Free Download Misr Mein Husn Ki Wo Garmi-e-bazar Kahan in PDF.