Sarir-e-saltanat Se Aastan-e-yar Behtar Tha

sarir-e-saltanat se aastan-e-yar behtar tha

hamein zill-e-huma se saya-e-diwar behtar tha

mujhe dukh phir diya tu ne munDa kar sabza-e-KHat ko

jarahat ko mere wo marham-e-zangar behtar tha

mujhe zanjir karna kya munasib tha bahaaran mein

ki gul hathon mein aur panw mein mere KHar behtar tha

hamon ne hijr se kuchh wasl mein dhaDke bahut dekhe

hamare haq mein is rahat se wo aazar behtar tha

mera dil mar gaya jis din ki nazzare se baz aaya

'yaqin' parhez agar karta to ye bimar behtar tha

(890) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Sarir-e-saltanat Se Aastan-e-yar Behtar Tha In English By Famous Poet Yaqeen Inamullah Khan. Sarir-e-saltanat Se Aastan-e-yar Behtar Tha is written by Yaqeen Inamullah Khan. Read famous Poem Sarir-e-saltanat Se Aastan-e-yar Behtar Tha for youth and Student by Yaqeen Inamullah Khan. Free Download Sarir-e-saltanat Se Aastan-e-yar Behtar Tha in PDF.