Dagh-ha-e-dil Ki Tabani Gai

dagh-ha-e-dil ki tabani gai

un ke jalwon ki farawani gai

aashna na-ashna se ho gae

apni surat bhi na pahchani gai

ek dil mein saikDon gham ka hujum

phir bhi us ghar ki na virani gai

ab kahan wo jazba-e-mahr-o-wafa

aadmi se KHu-e-insani gai

aaine mein waqt ke ai ham-nafas

doston ki shakl pahchani gai

rah gae hosh-o-KHirad ke falsafe

justuju ta-hadd-e-imkani gai

'mir'-o-'ghaalib' 'wahshat'-o-'dagh'-o-'jigar'

kya gae 'asi' ghazal-KHwani gai

(840) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Dagh-ha-e-dil Ki Tabani Gai In English By Famous Poet Yaqoob Ali Aasi. Dagh-ha-e-dil Ki Tabani Gai is written by Yaqoob Ali Aasi. Read famous Poem Dagh-ha-e-dil Ki Tabani Gai for youth and Student by Yaqoob Ali Aasi. Free Download Dagh-ha-e-dil Ki Tabani Gai in PDF.