Gardish-e-muqaddar Ka Silsila Jo Chal Jae

gardish-e-muqaddar ka silsila jo chal jae

dusra itab aae ek bala jo Tal jae

hujra-e-gareban mein har jawab raushan hai

bas zara nigahon ka zawiya badal jae

aansuon ke bahne ka ye asar to hota hai

gham zara sa Dhal jae dil bhi kuchh sambhal jae

masalon ki gutthi bhi yun kahan sulajhti hai

ek sira jo hath aae dusra nikal jae

is ada ko kya kahiye wo paDos se aa kar

gul nae saja jae chadaren badal jae

kya ajab tasawwur hai hum talab ke maron ka

hiddat-e-tamanna se aasman pighal jae

(736) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Gardish-e-muqaddar Ka Silsila Jo Chal Jae In English By Famous Poet Yaqoob Tasawwur. Gardish-e-muqaddar Ka Silsila Jo Chal Jae is written by Yaqoob Tasawwur. Read famous Poem Gardish-e-muqaddar Ka Silsila Jo Chal Jae for youth and Student by Yaqoob Tasawwur. Free Download Gardish-e-muqaddar Ka Silsila Jo Chal Jae in PDF.