Husul-e-rizq Ke Arman Nikalte Guzri

husul-e-rizq ke arman nikalte guzri

hayat ret se sikke hi Dhaalte guzri

musafirat ki saubat mein umr bit gai

bachi to panw se kanTe nikalte guzri

hawa ne jashn manae wo intizar ki raat

charagh-e-hujra-e-furqat sambhaalte guzri

wo tez lahar to hathon se le gai kashti

phir us ke baad samundar khangalte guzri

rasai jis ki na thi be-karan samundar tak

wo mauj-e-nahr bhi chhinTe uchhaalte guzri

yahi nahin ki sitare the dastaras se baid

zara zara se tamanna bhi Talte guzri

tamam umr 'tasawwur' rida-e-baKHt-e-siyah

mashaqqaton ke lahu se ujalte guzri

(951) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Husul-e-rizq Ke Arman Nikalte Guzri In English By Famous Poet Yaqoob Tasawwur. Husul-e-rizq Ke Arman Nikalte Guzri is written by Yaqoob Tasawwur. Read famous Poem Husul-e-rizq Ke Arman Nikalte Guzri for youth and Student by Yaqoob Tasawwur. Free Download Husul-e-rizq Ke Arman Nikalte Guzri in PDF.