Mere Chaaron Taraf Ek Aahani Diwar Kyun Hai

mere chaaron taraf ek aahani diwar kyun hai

agar sachcha hun main sach ka muqaddar haar kyun hai

nishat-o-imbisat-o-shadmani zist Thahri

to batlae koi jina mujhe aazar kyun hai

masafat zindagi hai aur duniya ek sarae

to is tamsil mein tufan ka kirdar kyun hai

jahan sach ki pazirai ke dawedar hain sab

usi bazm-e-suKHan mein bolna dushwar kyun hai

yaqinan hadse bhi juzw-e-KHas-e-zindagi hain

hamara shahr hi in se magar do-chaar kyun hai

meri rahon mein jab hote nahin kanTe 'tasawwur'

main Dar kar sochta hun rasta hamwar kyun hai

(863) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Mere Chaaron Taraf Ek Aahani Diwar Kyun Hai In English By Famous Poet Yaqoob Tasawwur. Mere Chaaron Taraf Ek Aahani Diwar Kyun Hai is written by Yaqoob Tasawwur. Read famous Poem Mere Chaaron Taraf Ek Aahani Diwar Kyun Hai for youth and Student by Yaqoob Tasawwur. Free Download Mere Chaaron Taraf Ek Aahani Diwar Kyun Hai in PDF.