Musafiron Ke Ye Wahm-o-guman Mein Tha Hi Nahin

musafiron ke ye wahm-o-guman mein tha hi nahin

ki rahbar to koi karwan mein tha hi nahin

sawal ye hai ki phir aag lag gai kaise

koi diya to andhere makan mein tha hi nahin

uTha liye gae hathiyar phir tahaffuz ko

ki shahr-e-amn mein koi aman mein tha hi nahin

to lazima use aana tha is zamin par hi

ki aadmi ka guzar aasman mein tha hi nahin

sunai main ne to mujh se KHafa hue kyun log

kisi ka nam meri dastan mein tha hi nahin

to kis sabab se ghalat-fahmiyan huin paida

ba-juz hawa to koi darmiyan mein tha hi nahin

wo jis se shahr-e-'tasawwur' mein raushni hoti

sitara aisa koi aasman mein tha hi nahin

(909) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Musafiron Ke Ye Wahm-o-guman Mein Tha Hi Nahin In English By Famous Poet Yaqoob Tasawwur. Musafiron Ke Ye Wahm-o-guman Mein Tha Hi Nahin is written by Yaqoob Tasawwur. Read famous Poem Musafiron Ke Ye Wahm-o-guman Mein Tha Hi Nahin for youth and Student by Yaqoob Tasawwur. Free Download Musafiron Ke Ye Wahm-o-guman Mein Tha Hi Nahin in PDF.