DhunDh Hum Un Ko Pareshan Bane BaiThe Hain

DhunDh hum un ko pareshan bane baiThe hain

wo to parda liye insan bane baiThe hain

zauq hasil unhen hota hai har yak surat se

rang-o-be-rangi se har aan bane baiThe hain

chhoD masjid ko gae dair mein puja karne

the musalman wo rahban bane baiThe hain

baat ye hai ki hayula se hai surat paida

har yak ajsam mein rahman bane baiThe hain

taza har aan dikhate hain wo jalwa apna

har tayyun ke liye shan bane baiThe hain

hain masiha kahin bimar kahin dard kahin

har tarah se wahi darman bane baiThe hain

wahi hota hai har yak kaam jo wo chahte hain

dete hasrat bhi hain arman bane baiThe hain

kufr-o-islam ke parde se hain har haal mein KHush

wajib aaina se imkan bane baiThe hain

sach to ye hai ki haqiqat jo hai un ki malum

jaante jo hain wo anjaan bane baiThe hain

jumla adwar o shayunat se jalwa karte

shan-e-'markaz' mein wo subhan bane baiThe hain

(973) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

DhunDh Hum Un Ko Pareshan Bane BaiThe Hain In English By Famous Poet Yasin Ali Khan Markaz. DhunDh Hum Un Ko Pareshan Bane BaiThe Hain is written by Yasin Ali Khan Markaz. Read famous Poem DhunDh Hum Un Ko Pareshan Bane BaiThe Hain for youth and Student by Yasin Ali Khan Markaz. Free Download DhunDh Hum Un Ko Pareshan Bane BaiThe Hain in PDF.