Ata-e-abr Se Inkar Karna Chahiye Tha

ata-e-abr se inkar karna chahiye tha

main sahra thi mujhe iqrar karna chahiye tha

lahu ki aanch deni chahiye thi faisle ko

use phir naqsh-bar-diwar karna chahiye tha

agar lafz o bayan sakit khaDe the dusri samt

hamin ko ranj ka izhaar karna chahiye tha

agar itni muqaddam thi zarurat raushni ki

to phir sae se apne pyar karna chahiye tha

samundar ho to us mein Dub jaana bhi rawa hai

magar dariyaon ko to par karna chahiye tha

dil-e-KHush-fahm ko subh safar ki raushni mein

shab-e-gham ke liye tayyar karna chahiye tha

shikast-e-zindagi ka aks ban kar rah gaya hai

wahi lamha jise shahkar karna chahiye tha

(1055) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Ata-e-abr Se Inkar Karna Chahiye Tha In English By Famous Poet Yasmeen Hameed. Ata-e-abr Se Inkar Karna Chahiye Tha is written by Yasmeen Hameed. Read famous Poem Ata-e-abr Se Inkar Karna Chahiye Tha for youth and Student by Yasmeen Hameed. Free Download Ata-e-abr Se Inkar Karna Chahiye Tha in PDF.