Dariya Ki Rawani Wahi Dahshat Bhi Wahi Hai

dariya ki rawani wahi dahshat bhi wahi hai

aur Dubte lamhat ki surat bhi wahi hai

alfaz bhi likkhe hain wahi nok-e-qalam ne

auraq pe phaili hui rangat bhi wahi hai

kyun us ka sarapa na hua naqsh-ba-diwar

jab main bhi wahi hun meri hairat bhi wahi hai

kyun barf si paDti hai kahin shahr-e-darun par

jab muzhda-e-KHurshid mein hiddat bhi wahi hai

kyun DhunDne nikle hain nae gham ka KHazina

jab dil bhi wahi dard ki daulat bhi wahi hai

raste se meri jang bhi jari hai abhi tak

aur panw tale zaKHm ki wahshat bhi wahi hai

ta-umr nigahon ke liye ek sa manzar

sae ki tarah sae ki qimat bhi wahi hai

(1045) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Dariya Ki Rawani Wahi Dahshat Bhi Wahi Hai In English By Famous Poet Yasmeen Hameed. Dariya Ki Rawani Wahi Dahshat Bhi Wahi Hai is written by Yasmeen Hameed. Read famous Poem Dariya Ki Rawani Wahi Dahshat Bhi Wahi Hai for youth and Student by Yasmeen Hameed. Free Download Dariya Ki Rawani Wahi Dahshat Bhi Wahi Hai in PDF.