Daulat-e-dard SameTo Ki Bikharne Ko Hai

daulat-e-dard sameTo ki bikharne ko hai

raat ka aaKHiri lamha bhi guzarne ko hai

KHisht-dar-KHisht aqidat ne banaya jis ko

abr-e-azar usi ghar pe Thaharne ko hai

kisht-e-barbaad se tajdid-e-wafa kar dekho

ab to dariyaon ka pani bhi utarne ko hai

apni aankhon mein wahi aks liye phirte hain

jaise aaina-e-maqsum sanwarne ko hai

jo Duboegi na pahunchaegi sahil pe hamein

ab wahi mauj samundar se ubharne ko hai

kunj-e-tanhai mein khilta hai taKHayyul mera

aur main KHush hun ki ye gul phir se nikharne ko hai

(860) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Daulat-e-dard SameTo Ki Bikharne Ko Hai In English By Famous Poet Yasmeen Hameed. Daulat-e-dard SameTo Ki Bikharne Ko Hai is written by Yasmeen Hameed. Read famous Poem Daulat-e-dard SameTo Ki Bikharne Ko Hai for youth and Student by Yasmeen Hameed. Free Download Daulat-e-dard SameTo Ki Bikharne Ko Hai in PDF.