Ek Be-panah Raat Ka Tanha Jawab Tha
ek be-panah raat ka tanha jawab tha
chhoTa sa ek diya jo sar-e-ehtisab tha
rasta mera tazad ki taswir ho gaya
dariya bhi bah raha tha jahan par sarab tha
wo waqt bhi ajib tha hairan kar gaya
wazeh tha zindagi ki tarah aur KHwab tha
pahle paDaw se hi use lauTna paDa
lambi masafaton se jise ijtinab tha
phir be-numu zamin thi aur KHushk the shajar
be-abr aasman ka chalan kaamyab tha
ek be-qayas baat se mansub ho gaya
phaila hua huruf mein jo iztirab tha
apni nigah par bhi karun e'tibar kya
kis man par kahun wo mera intiKHab tha
(1140) Peoples Rate This