Misal-e-aks Mere Aaine Mein Dhalta Raha

misal-e-aks mere aaine mein Dhalta raha

wo KHadd-o-KHal bhi apne magar badalta raha

main pattharon pe giri aur KHud sambhal bhi gai

wo KHamushi se mere sath sath chalta raha

ujala hote hi kaise use bujhaungi

agar charagh mera ta-ba-subh jalta raha

main us ke mani o maqsad ke sang chunti rahi

wo ek harf jo ehsas ko kuchalta raha

zamin KHulus ki miTTi se be-niyaz rahi

rifaqaton ka shajar wahimon pe palta raha

(1025) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Misal-e-aks Mere Aaine Mein Dhalta Raha In English By Famous Poet Yasmeen Hameed. Misal-e-aks Mere Aaine Mein Dhalta Raha is written by Yasmeen Hameed. Read famous Poem Misal-e-aks Mere Aaine Mein Dhalta Raha for youth and Student by Yasmeen Hameed. Free Download Misal-e-aks Mere Aaine Mein Dhalta Raha in PDF.