Marna Azab Tha Kabhi Jina Azab Tha

marna azab tha kabhi jina azab tha

mera mushir ishq sa KHana-KHarab tha

dil mar miTa tilawat-e-ruKHsar-e-yar mein

marhum tiflagi se hi ahl-e-kitab tha

socha to is habib ko paya qarib-e-jaan

dekha to aastin mein chhupa aaftab tha

wo bargah meri wafa ka jawaz thi

is aastan ki KHak mera hi shabab tha

meri har ek subh thi aaghosh-e-dilbari

meri har ek sham ka unwan sharab tha

dil bhi sanam-parast nazar bhi sanam-parast

is aashiqi mein KHana hama aaftab tha

kab is siyah-baKHt ne chhoDa kisi ka sath

dasht-e-junun mein saya mera ham-rikab tha

tu kab maal-e-jaur-o-jafa ko samajh saka

tera jamal tere liye bhi hijab tha

jis daur ko faqih ne isyan samajh liya

us daur mein to pi ke bahakna sawab tha

wo husn kis qadar adab-amoz tha 'zahir'

qad KHama-e-rawan tha to chehra kitab tha

(1045) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Marna Azab Tha Kabhi Jina Azab Tha In English By Famous Poet Zaheer Kashmiri. Marna Azab Tha Kabhi Jina Azab Tha is written by Zaheer Kashmiri. Read famous Poem Marna Azab Tha Kabhi Jina Azab Tha for youth and Student by Zaheer Kashmiri. Free Download Marna Azab Tha Kabhi Jina Azab Tha in PDF.