Mara Hamein Is Daur Ki Aasan-talbi Ne

mara hamein is daur ki aasan-talbi ne

kuchh aur the is daur mein jine ke qarine

har jam lahu-rang tha dekha ye sabhi ne

kyun shisha-e-dil chur tha puchha na kisi ne

ab halqa-e-girdab hi aaghosh-e-sukun hai

sahil se bahut dur Duboe hain safine

har lamha-e-KHamosh tha ek daur-e-pur-ashob

guzre hain isi taur se sal aur mahine

mazi ke mazaron ki taraf soch ke baDhna

ho jaoge mayus na kho do ye dafine

har bazm-e-suKHan jhuTe naginon ki numaish

sartaj-e-suKHan the jo kahan hain wo nagine

(1065) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Mara Hamein Is Daur Ki Aasan-talbi Ne In English By Famous Poet Zahida Zaidi. Mara Hamein Is Daur Ki Aasan-talbi Ne is written by Zahida Zaidi. Read famous Poem Mara Hamein Is Daur Ki Aasan-talbi Ne for youth and Student by Zahida Zaidi. Free Download Mara Hamein Is Daur Ki Aasan-talbi Ne in PDF.